VIVO Y17 Full Specifications | Features | Price


VIVO Y17 Full Specifications | Features | Price

Hello friends, TECH PORTAL ki ek aur naye article/post me aap sabhi ka bahot bahot swagat hai. Apko article/post pasand aaye to ise aap apne friends, family aur relative ke sath zarur share kare. TECH PORTAL ko follow kare taki jab bhi main koi new article/post publish karu to apko notification mil jaye. Agar aap ka koi bhi suzao ya sawal hai to aap hame comment kar ke puch sakte hai.

VIVO Y17 Summary
VIVO ne apna new smartphone VIVO Y17 ko india me launched kar diya hai. VIVO Y17 Android Pie 9.0 par adharit Funtouch OS 9 par chalta hai.

Sabse pahle bat karte hai is phone ke camera ki jo ki is phone ka highlight feature bhi hai. VIVO Y17 me apko rear me triple camera dekhne ko milta hai. Wide angle capture karne ke liye isme apko 8 MP ka camera diya gaya hai f2.2 aperture ke sath. 13 MP ka isme apko main camera diya gaya hai jo ki f2.2 aperture ke sath aata hai. Depth ke liye isme apko 2 MP ka camera diya gaya hai f2.4 aperture ke sath. Selfie ke liye is phone me apko 20 MP ka front camera diya gaya hai jiska aperture hai f2.0.

Storage ki bat kare to VIVO Y17 me 4 GB RAM aur 128 GB ki storage di gayi hai.

Performance ke liye VIVO Y17 me 2.3 GHz. Octa Core MediaTek Helio P35 processor diya gaya hai.

VIVO Y17 me apko water drop notch display dekhne ko milti hai. Is phone me apko 6.35 inch ka HD+ display diya gaya hai. Ye phone 19.3:9 aspect ratio ke sath aata hai. Is phone me coring gorilla glass ki protection di gayi hai ya nahi ye kahna mushkil hai kuyki company ne apni website par kahi par bhi iska zikra nahi kiya hai.

NOKIA 4.2 Full Specifications, Features & Price

ZOLO ZX Full Specifications | Features | Price

VIVO Y17 apko do colors me dekhne ko milta hai, ek Mineral Blue aur dusra Mystic Purple. Is phone ka dimension 159.43 × 76.77 × 8.92 mm hai aur weight 190.5 g hai jo ki thoda jyada lagta hai.

Security ke liye VIVO Y17 me apko fingerprint sensor diya gaya hai.

VIVO Y17 ka second highlight feature hai is phone ki battery. Is phone me apko 5000 mAh ki battery di gayi hai. Fast charging ke liye is phone me apko 18W ka charger bhi diya gaya hai.

VIVO Y17 me apko connectivity ke liye Bluetooth v5.0, Wi-Fi, USB 2.0, GPS, OTG FM jaise options diye gaye hai. Ye phone 2G GSM, 3G WCDMA, 4G FDD-LTE aur 4G TDD-LTE network ko support karta hai.

VIVO Y17 ki kimat hai 17,990/-. Is phone ko aap VIVO ki official website, amazon, paytm mall ya fir flipkart se bhi kharid sakte hai.


Note: Tech Portal ki notifications Telegram par pane ke liye Subscribe kare.


VIVO Y17 Full Specifications
Body
Dimensions: 159.43 × 76.77 × 8.92 mm
Weight: 190.5 g
Colors: Mineral Blue, Mystic Purple
Display
Size: 6.35 Inch
Resolution: HD+
Type LCD
Multitouch: Yes
System
OS: Android v9.0 (Pie)
User Interface: Funtouch OS 9
Chipset: MediaTek Helio P35
CPU: 2.3 GHz Octa Core Processor
Memory
RAM: 4 GB
Internal Storage: 128 GB
Camera
Front Camera: 20 MP (f2.0)
Rear Camera: 8 MP (f2.2) + 13 MP (f2.2) + 2 MP (f2.4)
Battery
Capacity: 5000 mAh
Connectivity and Network
Mobile Network: 2G / 3G / 4G
WLAN: Wi-Fi
Bluetooth: v5.0
GPS: Yes
NFC: No
USB: micro USB v2.0
Price
4 GB + 128 GB Variant: ₹ 17,990
In The Box

Earphones, Documentation, micro USB to USB Cable, USB Power Adapter, SIM Ejector, Protective Case, Protective Film (applied)


Buy from amazon

Umeed karta hu dosto article/post apko pasand aayi hongi.
Thank You !
VIVO Y17 Full Specifications | Features | Price VIVO Y17 Full Specifications | Features | Price Reviewed by Tech Portal on May 15, 2019 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.