Paytm Credit Card Launched


Paytm Credit Card | Paytm First Card

Paytm ne apna credit card launched kar diya hai. Ye card Paytm First Card ke naam se bhi jana jayega. Paytm ne city bank ke sath sazedari kar ke is card ko launched kiya hai. To chaliye jante hai is card me hame kya benefits milege, kya charges rahege, hame kaise is card ke liye apply kar sakte hai aur bhi bahot kuch.

Paytm First Card Kya Hai?
Paytm First Card ek credit card hai aur ye card sirf paytm customers ke liye hi hai agar aap paytm customer nahi hai to aap is card ke liye apply nahi kar payege. Agar aap paytm first card lena chahate hai to apko paytm customer hona zaruri hai. Paytm first card ko aap paytm app se apply kar sakte hai.

Main paytm first card kaise le sakta hu ya muze paytm credit card kaise milega?
Iske liye apko apne paytm app par jana hoga, paytm app par jane ke bad apko menu button par click karna hoga, click karne ke bad apko ek list dikhayi degi jisme apko Paytm First Card ka option milega uspar apko click karna hai. Ispar click karne ke bad apko “Apply Now” ke button par click karna hoga, uspar click karne ke bad ek form open hoga, us form me apko apna naam, PAN number, date of birth, emai id, gender aur pata jaisi jankari ko fill karke proceed button par click kar dena hai. Is tarah aap paytm credit card ke liye apply kar sakte hai. Iske bad city bank ka ek partinidhi KYC ke liye apke pas ayega. Agar apka application accept ho jata hai to ek welcome letter ke sath paytm credit card apke address par send kar diya jayega.

Main patm credit card kaha use kar sakta hu?
Paytm credit card ka use online aur offline done tarah ke len den ke liye kiya ja sakta hai. Aap apne paytm wallet me paise add karne ke liye bhi paytm credit card ka use kar payege.

Paytm credit card ka use karne ke kya benefits hai?
Paytm credit card ka use karne ke customers ko multiple benefits milege, jaise har transaction ke liye 1% unlimited cashback diya jayega. Iske sath hi har customers ke transaction ko dhyan me rakhte hue kai offer pesh kiye jayege.

Muze cashback kaise milega?
Customers ko paytm credit card ke har transaction par 1% unlimited cashback milega. Apka monthly bill generate hone ke bad ye cashback automatically apke account me credit kar diya jayega. Is cashback ko apke account me credit hone ke liye 2 din tak ka time lag sakta hai.

Muze paytm credit card statement kaise milega?
Bill generate hone ke bad statement apke email address par send kar diya jayega. Aap city bank ki website par login karke bhi statement dekh aur download kar payege.

Paytm credit card ka yearly charge kya hai?
Paytm credit card ke liye apko yearly 500 rupaye charge dena hoga, lekin aap 50,000 ya usse upar ke kharch ke liye yearly paytm credit card ka istemal karte hai to apko koi charge nahi dena hoga.

Muze apna paytm credit card monthly bill kaise milega?
Paytm credit card bill generate hote hi city bank ke zariye apke email address par send kar diya jayega. Ye bill apko har mahine apke email address par send kar diya jayega.

Main apne paytm credit card bill ka bhugtan kaise karuga?
Aap apne paytm app ke zariye hi apne paytm credit card bill ka bhugtan kar payege. Iske liye apko paytm first card passbook ka option select karna hoga.

Agar mera paytm credit card kho jata hai ya chori ho jata hai to muze kya karna hoga?
Agar apka paytm credit card kho jata hai ya chori ho jata hai to apko iske liye report karni hogi, ye report aap city bank ki website ya citybank ke mobile app par bhi kar sakte hai.

Note: Tech Portal ki notifications Telegram par pane ke liye Subscribe kare.
Paytm Credit Card Launched Paytm Credit Card Launched Reviewed by Tech Portal on May 16, 2019 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.